Ku-e-sitam ki khamoshi aabad kuchh to ho
kuchh to kaho sitam kashon, Fariyaad kuchh to ho.
Bedad gar se shikwa, Bedad kuchh to ho,
bolo to , shor-e-hashr ki , aijad kuchh to ho.
Marane chale to satwat-e-qatil ka khouf kya,
Itna to hoke bandhne paye na dast-o-pa
Maqtal main kuchh to rang jame jashn-e-raqs ka
rang-e-lahoo se panjaa-e-sayyad kuchh to ho
Khoon par gawah daman-e-jallad kuchh to ho
jab khoon baha , talab karen, buniyaad kuchh to ho.
Gar tan nahin, Zubaan sahi, Aazad kuchh to ho
Dushnaam naala ha o hu, Fariyaad kuchh to ho.
Cheekhe hai dard-e-dil-e-barbaad kuchh to ho
Bolo to shor-e-hashra ki ijaad kuchh to ho.
Bolo ki roz-e-adal ki buniyaad kuchh to ho.
"Buniyad kuchh to ho"- written by Faiz ahmed Faiz.